Ghar..

Ek lambi si daal PE Kuch sunehre patto ke bich
Ghar tha mera
Kuch tute hua tinke jugaade the maine
Kuch kagaz pathar aur praane kapde ka bistaar tha mera
Chatt nai banayi thi Maine
Khula aasmaan jo mera tha,
ooos ki Chadar thi jise apna samajh oodh leta tha
Tumhare chode Kuch daane hi chunn leta tha..
Tum sab ki bhid thi niche tho main assmano main rehta tha..
Paresan tumhe karta bhi kyun aakhir tumhara sab choda hi tho mera tha..
Khafa Hun bas baat se lekin..
Jab tumne mera Ghar toda tha..
Sabr tha mujhe tabh bhi lekin
jab tumne apna Ghar banaya tha..
Ab mera Ghar main dhunta Hun usme..
Roj darwaja par aata Hun
Socha itna tho Haq banta hai mera
Par saayad tumhe meri baat samjah nai aati..
Isme dos tumhara bhi kya..
Khuda NE hi jab duinya banayi aisi tho..
Dill tho Diya har ek ko..Par samjh Sirf tumhe..
Bas itni samajh tumhe bhi baksh deta agar tho..
Ki uss pile se ped ke lambi si daal ke sunhere patto ke Bich
Ek Ghar tha mera…
Ghar..

One thought on “Ghar..

Leave a comment