Andar Kya Haii..
ek moti ki mala hai..
ya ek choti abhilasha hai…
ek chota sa baccha hai..
ya fir teri hi koi kaya hai…
jine ka saransh hai andar
ya teri paribhasha hai…
Kya hai andar…
ho sakta hai ek panchi ho
uddne ko betaab..
ya phir ek kahani ho
likhne ko betaab…
ho sakta hai ek indradhanush ho
banne ko bataab…
ya fir tera tu ho andar
tujhse milne ko betab…
andar tho tu dhek jara sa…
khud ko le pehchan jara sa
kab tak aise jiyega tu..
jhut ki mala bunega tu…
sachaai hai tere andar ek…
uski chamak pehchan jara tu…
andar kya hai..khoj jara tu
andar wo insaan hai tere
jine ka abhimaan hai tere..
tera khudaa tujhe dhundh raha hai..
apne khudaa ko tho pehchaan jara tu
andar kya hai…dhek jara tu..
ek ye jiwan hai jo tera..
bahut kimti waqt hai tera..
dusro main khud ko na dhek jara tu..
apna insaan tu khoj jara tu..
Kya hai andar..Dhek jara tu..
Andar kya hai..Khoj jara tu…